Monday 7 April 2008

English Learning

Conversation overheard at a hotel

Waiter A: Arrey sunaa kya. Mainey kal Behraambaag mein ek board dekha. English seekhney ke liye. 600 rupiyah mahina.

Waiter B: Abey jaa. Mein teen hazaar rupiya dekar nahi seekh paya aur tu 600 rupiye mein seekh jaayega?

Waiter A: Arrey nahi sachhi mein. Ek Sir aayega waha par padhaney ke liye. Suna hai who accha padhaata hain.

Waiter B: Abey tu Sir ki baat karta hai. Hum logo ko to ek Madam aakar sikhaa ti thi. Hum log madam se nahi seekh sake to tu Sir se seekh lega. Aur who bhi 600 rupiye mein. Tera dimaag to tikhaaney hai? Aaya bada English seekhney.

Then, they veer away a bit from near my table to attend to other customers. A while later, they resume their conversation.

Waiter B: Sun, ek kaam kar. Mere books mere paas abhi tak rakhey huey hai. Tu mere paas aaja. Mein tujhey 150 rupiye mein English sikha deta hu.